nizām-e-shams-o-qamar kitne dast-e-ḳhāk meñ haiñ
zamāne jaise tirī chashm-ḳhvāb-nāk meñ haiñ
sharāb-o-sher meñ uryāñ to ho ga.e lekin
fazā-e-zāt ke parde har ek chaak meñ haiñ
shagufta-e-lāla-o-gul meñ bhī sab kahāñ nikhre
na jaane kitne shahīdoñ ke ḳhvāb ḳhaak meñ haiñ
tirā visāl zamistāñ kī raat ho jaise
vo sard-mehrī ke pahlū tire tapāk meñ haiñ
jo sar uThā ke chaleñ tum hī ik nahīñ ho 'arīb'
kuchh aise log abhī tak to hind-o-pāk meñ haiñ