nahīñ jo terī ḳhushī lab pe kyuuñ hañsī aa.e
yahī bahut hai ki āñkhoñ meñ kuchh namī aa.e
añdherī raat meñ kāsa-ba-dast baiThā huuñ
nahīñ ye aas ki āñkhoñ meñ raushnī aa.e
mile vo ham se magar jaise ġhair milte haiñ
vo aa.e dil meñ magar jaise ajnabī aa.e
ḳhud apne haal pe rotī rahī hai ye duniyā
hamāre haal pe duniyā ko kyuuñ hañsī aa.e
na jaane kitne zamānoñ se ham bahakte haiñ
faqīh bahke to kuchh lutf-e-mai-kashī aa.e
salīb-o-dār ke qisse bahut purāne haiñ
salīb-o-dār to hamrāh-e-zindagī aa.e
harī na ho na sahī shāḳh-e-naḳhl ġham kī 'arīb'
hamāre girya-e-paiham meñ kyuuñ kamī aa.e