Sulaiman Areeb

hisab-e-umr karo ya hisab-e-jam karo

Sulaiman Areeb

Hyderabad, Telangana, India

1922-1970
hisāb-e-umr karo yā hisāb-e-jām karo
ba-qadr-e-zarf shab-e-ġham kā ehtimām karo
agar zarā bhī rivāyat kī pāsdārī hai
ḳhirad ke daur meñ rasm-e-junūñ ko aam karo
ḳhudā gavāh faqīroñ kā tajraba ye hai
jahāñ ho sub.h tumhārī vahāñ na shaam karo
na riñd o shaiḳh na mullā na mohtasib na faqīh
ye mai-kada hai yahāñ sab ko shād-kām karo
vahī hai tesha bayābāñ vahī hai daar vahī
jo ho sake to zamāne meñ tum bhī naam karo
ḳhirām-e-yār kī aahaT sī dil se aatī hai
sarishk-e-ḳhūñ se charāġhāñ kā ehtimām karo
asīr-e-zulf hamīñ ik nahīñ haiñ 'mīr' bhī the
magar ab uTh ke do-ālam ko zer-e-dām karo
'arrīb' dekho na itrāo chand sheroñ par
ġhazal vo fan hai ki 'ġhālib' ko tum salām karo
Top Urdushayar.com