Sulaiman Areeb

aaj bhi hath pe hai tere pasine ki tari

Sulaiman Areeb

Hyderabad, Telangana, India

1922-1970
aaj bhī haath pe hai tere pasīne kī tarī
ya.anī hai aaj bhī shāḳh-e-shajar-e-dard harī
pās-e-dāmāñ na sahī pās-e-garebāñ hī sahī
tujh pe lāzim nahīñ ai dast-e-junūñ jāma-darī
maiñ ki duniyā-e-havas meñ bhī sar-afrāz rahā
kaam aa hī ga.ī āḳhir mirī āshufta-sarī
dil kī bastī se kabhī yuuñ na guzartī thī sabā
ab na paiġhāmbarī hai na koī nāma-barī
ham ne bhī chhoḌ diyā maslak-e-arbāb-e-vafā
vo bhī ab bhuul ga.e sheva-e-bedād-garī
raat kā karb sameTe hue apne dil meñ
jhilmilātā hai kahīñ duur charāġh-e-saharī
maiñ ne kis dil se shab-e-ġham kī sahar kī hai 'arīb'
yaad aa.egī zamāne ko mirī be-jigarī
Top Urdushayar.com