Sulaiman Areeb

ye bhi shayad tera andaz-e-dil-arai hai

Sulaiman Areeb

Hyderabad, Telangana, India

1922-1970
ye bhī shāyad tirā andāz-e-dil-ārā.ī hai
ham ne har saañs pe marne kī sazā paa.ī hai
kaisā paiġhām kahāñ se ye sabā laa.ī hai
shāḳh-e-gul sub.h-e-bahārāñ hī meñ murjhā.ī hai
dil ke ābād ḳharābe meñ na shab hai na sahar
chāñdnī le ke tirī yaad kahāñ aa.ī hai
tū mire chāk-e-garebāñ se to mahjūb na ho
maiñ ne kab terī mohabbat kī qasam khaa.ī hai
tujh ko is tarah bhī dekhā hai mirī āñkhoñ meñ
terī āvāz kī tasvīr utar aa.ī hai
terī mahfil meñ ki maqtal meñ kahīñ dekhā thā
zindagī se mirī bas itnī shanāsā.ī hai
kyā tirā haal bhī ai anjuman-ārā hai yahī
maiñ tire paas huuñ lekin vahī tanhā.ī hai
Top Urdushayar.com