Sulaiman Areeb

har baat teri jaan-e-jahan man raha hun

Sulaiman Areeb

Hyderabad, Telangana, India

1922-1970
har baat tirī jān-e-jahāñ maan rahā huuñ
ab ḳhāk-e-rah-e-kāhkashāñ chhān rahā huuñ
asnām se derīna ta.alluq kī badaulat
maiñ kufr kā har daur meñ īmān rahā huuñ
duniyā se laḌā.ī to azal hī se rahī hai
ab ḳhud se jhagaḌne kī bhī maiñ Thaan rahā huuñ
ab tak to shab-o-roz kuchh is tarah kaTe haiñ
jis jā bhī rahā apnā hī mehmān rahā huuñ
mansab ye mujhe jabr-e-mashiyat se milā hai
chaltī huī lāshoñ kā nigahbān rahā huuñ
vo sher huuñ jis ko abhī sochegā zamāna
likkhā na gayā jis ko vo dīvān rahā huuñ
be-tāj huuñ be-taḳht huuñ be-mulk-o-hukumat
haañ naam kā lekin maiñ 'sulaimān' rahā huuñ
Top Urdushayar.com