koī dushman koī hamdam bhī nahīñ saath apne
tū nahīñ hai to do-ālam bhī nahīñ saath apne
saath kuchh duur tire ham bhī ga.e the lekin
ab kahāñ jaa.eñ ki ḳhud ham bhī nahīñ saath apne
vo bhī ik vaqt tak ḳhurshīd-ba-kaf phirte the
ye bhī ik vaqt hai shabnam bhī nahīñ saath apne
nāḳhun-e-vaqt ne kab zaḳhm ko dahkāyā hai
aise ik vaqt ki marham bhī nahīñ saath apne
sāmne kitnī salībeñ haiñ pa.e be-gunahī
aaj laḳht-e-dil-e-maryam bhī nahīñ saath apne
pī ke sochā ki ḳharīdeñge ġham-e-duniyā bhī
tai hue daam to dirham bhī nahīñ saath apne