Idris Babar

rabt asiron ko abhi us gul-e-tar se kam hai

Idris Babar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1973
rabt asīroñ ko abhī us gul-e-tar se kam hai
ek raḳhna sā hai dīvār meñ dar se kam hai
harf kī lau maiñ udhar aur baḌhā detā huuñ
aap batlā.eñ to ye ḳhvāb jidhar se kam hai
haath duniyā kā bhī hai dil kī ḳharābī meñ bahut
phir bhī ai dost tirī ek nazar se kam hai
soch lo maiñ bhī huā chup to girāñ guzregā
ye añdherā jo mire shor o sharar se kam hai
vo bujhā jaa.e to ye dil ko jalā de phir se
shaam hī kaun sī rāhat meñ sahar se kam hai
ḳhaak itnī na uḌā.eñ to hameñ bhī 'bābar'
dasht achchhā hai ki vīrānī meñ ghar se kam hai
Top Urdushayar.com