maiñ kuchh dinoñ meñ use chhoḌ jaane vaalā thā
jahāz ġharq huā jo ḳhazāne vaalā thā
guloñ se bū-e-shikast uTh rahī hai naġhmagaro
yahīñ kahīñ koī kuuze banāne vaalā thā
ajiib haal thā is dasht kā maiñ aayā to
na ḳhaak thī na koī ḳhaak uḌāne vaalā thā
tamām dost alaav ke gird jam.a the aur
har ek apnī kahānī sunāne vaalā thā
kahānī jis meñ ye duniyā na.ī thī achchhī thī
aur is pe vaqt burā vaqt aane vaalā thā
bas ek ḳhvāb kī duurī pe thā vo shahr jahāñ
maiñ apne naam kā sikka chalāne vaalā thā
shajar ke saath mujhe bhī hilā gayā 'bābar'
vo sāneha jo use pesh aane vaalā thā