kyoñ tīrgī pe tum ko gumāñ chāñdnī kā hai
āḳhir ye rañg ruup kahāñ chāñdnī kā hai
zulmat kā ishtihār bane phir rahe haiñ ham
socho agar to ye bhī ziyāñ chāñdnī kā hai
ye raushnī kā shahr hai kaisā ki ab yahāñ
dekhā jise bhī nauha-kunāñ chāñdnī kā hai
is shahr-e-be-charāġh se aao nikal chaleñ
vo is liye ki shor yahāñ chāñdnī kā hai
nā-bīnagī ke rog meñ haiñ mubtalā vahī
'parvāz' jin kā apnā makāñ chāñdnī kā hai