Yaqoob Parwaz

ye nazzara na dekha tha faraaz-e-baam se pahle

Yaqoob Parwaz

ye nazzāra na dekhā thā farāz-e-bām se pahle
nikaltā hai koī sūraj ġhurūb-e-shām se pahle
usī ke naam kar Daale haiñ maiñ ne ratjage apne
kisī kā naam letā hai jo mere naam se pahle
tumhāre ātishīñ lahje se ham ḳhā.if nahīñ lekin
hamārī baat to sun lo zarā ārām se pahle
sukūt-e-shahar-e-ḳhāmoshāñ bhī jis par rashk farmā.e
kuchh aisī kaifiyat hotī hai har kohrām se pahle
rahīn-e-āb-o-dāna hī sahī āvārgī apnī
gharoñ ko lauT aate haiñ parinde shaam se pahle
ba-har-sūrat unheñ ranj-e-asīrī to uThānā hai
nazar daane pe hai parvāz jin kī daam se pahle
Top Urdushayar.com