samjhe haiñ misl-e-kāh mujhe mārte haiñ log
kitne haiñ kam-nigāh mujhe mārte haiñ log
itnā bhī ehtijāj gavārā nahīñ unheñ
bhartā huuñ jab bhī aah mujhe mārte haiñ log
maanā ki tere adl kā Dañkā hai chaar sū
lekin ai kaj-kulāh mujhe mārte haiñ log
tai hai ki phir girā diyā jā.uñgā chaah meñ
pahle barūn-e-chāh mujhe mārte haiñ log
yuuñ bhī faroġh dete haiñ apne daroġh ko
lā kar koī gavāh mujhe mārte haiñ log