rāhzan huuñ ki rahnumā huuñ maiñ
kaun jaane ki asl kyā huuñ maiñ
vo jo ibrat kā ik nishāñ Thahre
baaġh vāloñ ko jāntā huuñ maiñ
mujh se ḳhalq-e-ḳhudā laraztī hai
kis nauiyat kā pārsā huuñ maiñ
sādgī ko bhī jis pe rashk aa.e
is takalluf kī intihā huuñ maiñ
kis ne dekhā ye dekhnā merā
dil kī āñkhoñ se dekhtā huuñ maiñ
bheḌiye kī nigāh hai jin par
aisī bheḌoñ ko hāñktā huuñ maiñ