maiñ tirā hī aa.ina huuñ aur bas
tujh ko dekhā chāhtā huuñ aur bas
kyuuñ samajhte ho mujhe manzil-numā
TeḌhā-meḌhā rāstā huuñ aur bas
hai abhī mahdūd merī āgahī
maiñ to itnā jāntā huuñ aur bas
koī to khole mirī pechīdgī
maiñ kisī kā zā.icha huuñ aur bas
ab kisī tarmīm kā mat sochnā
maiñ mukammal faisla huuñ aur bas
DhūñDhnā mujh ko koī mushkil nahīñ
bhiiḌ meñ khoyā huā huuñ aur bas
kis jagah aur kab barasnā hai mujhe
maiñ to ik umDī ghaTā huuñ aur bas
laakh huuñ parvāz pur-asrār maiñ
ḳhud hī apnā tarjuma huuñ aur bas