Idris Babar

karte phirte hain ghazalan tera charcha sahab

Idris Babar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1973
karte phirte haiñ ġhazālāñ tirā charchā sāhab
ham bhī nikle haiñ tujhe dekhne sahrā sāhab
ye kuchh āsār haiñ ik ḳhvāb-shuda bastī ke
yahīñ bahtā thā vo dil naam kā dariyā sāhab
thā yahī haal hamārā bhī magar jāgte haiñ
kyā ajab ḳhvāb sunāyā hai dobāra sāhab
sahal mat jaan ki tujh ruḳh pe ḳhudā hote hue
dil huā jaatā hai gard-e-rah-e-duniyā sāhab
ham na kahte the ki us ko nazar-andāz na kar
aa.ina TuuT gayā dekh liyā nā sāhab
yuuñ hī din Duub rahā ho to ḳhayāl aatā hai
yuuñ hī duniyā se guzar jaate haiñ kyā kyā sāhab
ābshāroñ kī jagah dil meñ kisī ke shab-o-roz
ḳhaak uḌtī ho to vo ḳhaak likhegā sāhab
sach kahā aap kī duniyā meñ hamārā kyā kaam
ham to bas yūñhī chale aa.e the achchhā sāhab
tum to kyā ishq-e-balā-ḳhez ke aage bāhar
miir sāhab haiñ baḌī chiiz na mirzā sāhab
Top Urdushayar.com