is se phūloñ vaale bhī aajiz aa ga.e haiñ
terī ḳhātir jo guldasta DhūñD rahā hai
dil ko dhakke khāte nikāle jaate dekh ke
sāhil apnā pakkā dariyā DhūñD rahā hai
tasma khulā jaise āzād talāzma ho vaah
ek pahan ke dūsrā juutā DhūñD rahā hai
us ke flat se bāhar koī duur kā dost
paas ke bus stop kā rasta DhūñD rahā hai
bas kar de ab, kab se matl.a DhūñD rahā hai
kyā koī tīsrā chauthā misra.a DhūñD rahā hai
m.a kiye bint-e-mochī ko chauthā saal hai
tab se vo job aur karmū rishta DhūñD rahā hai
har masnūī pañkhā jhūTā make-up kar ke
zaat kī shahr-panāh meñ raḳhna DhūñD rahā hai
lamp jalāte aur bujhā ke phir se jalāte
yā vo mujhe gum kartā hai yā DhūñD rahā hai
party Thap mehmān-e-ḳhusūsī shāi.r-e-āzam
patlī galī meñ paan kā khokhā DhūñD rahā hai
yaaro baiThe nahreñ khodo bāteñ chhoḌo
maiñ use DhūñD luuñ mujhe jo tanhā DhūñD rahā hai
ik laḌkī apne liye laḌkī DhūñD rahī hai
ik laḌkā apne liye laḌkā DhūñD rahā hai
mobile par app lagāo kaam chalāo
kaun purāne shahar kā naqsha DhūñD rahā hai
roze rakhvāo khulvāo jannat paao
banda to do vaqt kā khānā DhūñD rahā hai
merī iklautī T-shirt pe qabza jamā.e
achchhā rōmmate apnā kachchhā DhūñD rahā hai
khil-khilā ke load-shedding se faiz uThā ke
yūsuf-jānī tujhe ye andhā DhūñD rahā hai
gadle paanī se dhulte station par kis ko
garmā-garm sī chaa.e kā piyāla DhūñD rahā hai
siine par do qabroñ kai ta.avīz bañdhe haiñ
bach kar, dhūp! mujhe ik saaya DhūñD rahā hai
u-e-t meñ chhuTTiyāñ hone vaalī haiñ dost
kaun sā hostel kis kā kamra DhūñD rahā hai