jahān-e-tāza ke afkār saath le jaao
mirī ġhazal mire ash.ār saath le jaao
qadam qadam pe yahāñ degrēyāñ to miltī haiñ
ḳhudā ke vāste me.aar saath le jaao
rah-e-hayāt meñ insāniyat bhī biktī hai
zarā sambhāl ke kirdār saath le jaao
dayār-e-ġhair meñ pūchhegā ḳhairiyat koī
tum apne shahr kā aḳhbār saath le jaao
diloñ ke beach jahāñ ho adāvatoñ kī ḳhalīj
vahāñ ḳhulūs kī patvār saath le jaao