ġhamoñ kī dhuup kaḌī dopahar se guzre haiñ
tamām umr jhulastī Dagar se guzre haiñ
hamārī palkoñ se Tapke na kyuuñ girāñ-ḳhvābī
farāz-e-shab se tulū-e-sahar se guzre haiñ
ajiib baat hai ghar kā nishāñ nahīñ miltā
hazār baar unhī dīvār-o-dar se guzre haiñ
kabhī sukūñ hai kabhī iztirāb kā aalam
ajiib kaifiyat-e-ḳhair-o-shar se guzre haiñ
bharosa kaun kare ab sadā-e-sahrā kā
misāl-e-gard isī rahguzar se guzre haiñ