ek din ḳhvāb-nagar jaanā hai
aur yūñhī ḳhāk-basar jaanā hai
umr bhar kī ye jo hai be-ḳhvābī
ye usī ḳhvāb kā harjānā hai
ghar se kis vaqt chale the ham log
ḳhair ab kaun sā ghar jaanā hai
maut kī pahlī alāmat sāhib
yahī ehsās kā mar jaanā hai
kisī taqrīb-e-judā.ī ke baġhair
Thiik hai jaao agar jaanā hai
shor kī dhuul meñ gum galiyoñ se
dil ko chup-chāp guzar jaanā hai