apne chehre par ka.ī chehre liye
ham baḌe hī pārsā ban kar jiye
raaz ulfat kā chhupāne ke liye
zabt-e-girya bhī kiyā lab bhī siye
jin meñ chaltī haiñ havā.eñ tez tez
aisī rāhoñ meñ jalā.e haiñ diye
jo bhī haiñ is bazm meñ mad.hosh haiñ
aur ye mad.hoshiyāñ haiñ bin piye
aap ne chhoḌe haiñ jo naqsh-e-qadam
vo hamāre haq meñ haiñ raushan diye
ġham ke tūfānoñ kī zad par be-ḳhatar
phir 'jamālī' ne jalā.e haiñ diye