ġham terā mujhe jaañ se guzarne nahīñ detā
marnā bhī agar chāhūñ to marne nahīñ detā
ik buuñd bhī pāyāb nazar aatī hai ab to
ye Dar mujhe dariyā meñ utarne nahīñ detā
hālāt pe mauqūf nahīñ apnī tabāhī
qismat kā likhā bhī to sañvarne nahīñ detā
phūloñ se vo har sub.h uḌā letā hai surḳhī
be-rañg kalī ko bhī nikharne nahīñ detā
marham jise samjhā thā zamāne kī nazar ne
bharte hue zaḳhmoñ ko bhī bharne nahīñ detā
har raah ko vo saañp kī mānind hai ghere
vo rāhguzar se bhī guzarne nahīñ detā
'imrran' maiñ ik umr se patthar kī tarah huuñ
ḳhushbū kī tarah mujh ko bikharne nahīñ detā