kabhī aañsū kabhī ḳhvāboñ ke dhāre TuuT jaate haiñ
zarā sī aañkh meñ kyā kyā nazāre TuuT jaate haiñ
havā bhī āj-kal rakhtī hai tevar pattharoñ jaise
yahāñ to soch se pahle ishāre TuuT jaate haiñ
hameñ tanhā.iyoñ meñ yuuñ sadā.eñ kaun detā hai
samundar kaañp uThtā hai kināre TuuT jaate haiñ
pas-e-dīvār chhup jaate haiñ jo tūfān se Dar kar
unhīñ kī zindagī meñ sab sahāre TuuT jaate haiñ
jabīñ par kaun sī tahrīr likkhī hai ḳhudā jaane
hamāre paas aa kar kyuuñ sitāre TuuT jaate haiñ