dekh na is tarah guzār arsa-e-chashm se mujhe
fursat-e-dīd ho na ho mohlat-e-ḳhvāb de mujhe
bas-ki guzishtanī hai vaqt bas-ki shikastanī hai dil
ḳhvāb koī dikhā ki jo yaad na aa sake mujhe
ḳhaam hī rakh ke puḳhtagī shakl hai ik shikast kī
ātish-e-vasl kī jagah ḳhāk-e-firāq de mujhe
haañ ai ġhubār-e-āshnā maiñ bhī thā ham-safar tirā
pī ga.iiñ manzileñ tujhe khā ga.e rāste mujhe
der se ro nahīñ sakā duur huuñ so nahīñ sakā
ġham jo rulā sake mujhe sam jo sulā sake mujhe