zaḳhm ke hoñT par luaab us kā
ḳhush bahut hai mujhe ḳhush-āb us kā
us ne uploñ pe degchī rakkhī
aur pakne lagā shabāb us kā
ishq ne phir kisī ko bhejā hai
ḳhair-maqdam kare chanāb us kā
tujh tamannā meñ jo ibādat kī
kyā tujhe baḳhsh duuñ savāb us kā
qaus par se umuud uThtā huā
ya.anī phir jal uThā hai ḳhvāb us kā
dā.era dā.ere ko chhūtā huā
aur qausain par hijāb us kā