is se pahle ki kahānī se kahānī nikle
aa mire dil meñ utar aañkh se paanī nikle
itnī ujlat meñ talāshī nahīñ lī jā saktī
saañp ko hukm karo rāt-kī-rānī nikle
ḳhair kī saarī duāoñ kā bhalā ho laḌkī
ek bosa dam-e-ruḳhsat ki girānī nikle
is liye bhī ye badan khīñchnā paḌtā hai mujhe
jitne sikke the mire paas zamānī nikle
us pe mauqūf hai jo hukm ho dariyā dekhe
ret nikle yā tarā.ī meñ se paanī nikle