Aqeel Abbas

dhyan mein kaun darinda hai jo bedar hua

Aqeel Abbas

Mandi Bahauddin, Punjab, Pakistan

1994
dhyān meñ kaun darinda hai jo bedār huā
maiñ kisī bū kī jalan pā ke ḳhabar-dār huā
baaġh kī samt se aatī hai havā sahmī huī
kaun is habs ke mausam meñ sadākār huā
us jazīre kī taraf soch-samajh kar jaanā
jo tire mauj meñ aane se numūdār huā
tum ko lagtā hai ki āsān hai duniyā-dārī
kār-e-duniyā meñ paTā huuñ to vafādār huā
is badan par bhī mirā kaam dikhā.ī degā
aur vo kaam ki jaise koī shahkār huā
us ne har soch kī zambīl ulaT kar rakh dī
aur maiñ ḳhvāb dikhāne kā sazā-vār huā
Top Urdushayar.com