Idris Babar

ab masafat mein to aaram nahin aa sakta

Idris Babar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1973
ab masāfat meñ to ārām nahīñ aa saktā
ye sitāra bhī mire kaam nahīñ aa saktā
ye mirī saltanat-e-ḳhvāb hai ābād raho
is ke andar koī bahrām nahīñ aa saktā
jaane khilte hue phūloñ ko ḳhabar hai ki nahīñ
baaġh meñ koī siyah-fām nahīñ aa saktā
har havā-ḳhvāh ye kahtā thā ki mahfūz huuñ maiñ
bujhne vāloñ meñ mirā naam nahīñ aa saktā
maiñ jinheñ yaad huuñ ab tak yahī kahte hoñge
shāhzāda kabhī nākām nahīñ aa saktā
Dar hī lagtā hai ki raste meñ na rah jā.ūñ kahīñ
kahlavā dījiye meñ shaam nahīñ aa saktā
Top Urdushayar.com