hosh jis vaqt bhī aa.egā giraftāroñ ko
ḳhas kī mānind uḌā Dāleñge dīvāroñ ko
zindagī karnī hai tum ko to taḌapnā sīkho
zañg lag jaatā hai rakkhī huī talvāroñ ko
zaḳhm siine pe kisī ke nahīñ aayā ab tak
āzmāyā hai bahut qaum ke sardāroñ ko
itne ūñche bhī na uTTho ki sambhal bhī na sako
ham ne girte hue dekhā ka.ī mīnāroñ ko
buzdilī hai ki ye nādānī hai āḳhir kyā hai
log ashkoñ se bujhāne lage añgāroñ ko
vahī rishvat vahī iġhvā vahī ḳhabreñ 'irfāñ'
ham to bin dekhe hī paḌh lete haiñ aḳhbāroñ ko