zindagī saada varaq par ik hasīñ tahrīr hai
aur ye duniyā usī tahrīr kī tafsīr hai
haq-ba-jānib sirf ham haiñ dūsrā koī nahīñ
ḳhud-pasandī kī yahī adnā sī ik tasvīr hai
ye bhī andāz-e-taġhāful aur talavvun kī dalīl
jo bahut pyārā thā ab vo lā.eq-e-tāzīr hai
rāhbar milte haiñ lekin raah dikhlāte nahīñ
manziloñ par jo pahuñch jaa.e vahī rah-gīr hai
zūd-ranjī bhī 'vasiyya' ek aadat hī sahī
ye to batlā deñ ki is meñ kyā mirī taqsīr hai