bādshāh-e-vaqt koī aur koī majbūr kyuuñ
bin gayā hai ik zamāne kā yahī dastūr kyuuñ
hai baqā ke saath to nām-e-fanā bhī lāzmī
aap itnī be-sabātī par hue maġhrūr kyuuñ
dhuup meñ paanī meñ sardī meñ havā ke saath saath
jaan apnī de rahā hai aaj bhī mazdūr kyuuñ
ye to duniyā hai na badlī hai na badlegī kabhī
ġhaur karne ke liye phir aap haiñ majbūr kyuuñ
apnī shohrat ke liye us ne to kuchh sochā nahīñ
ho ga.ī lekin 'vasiyya' kī ġhazal mash.hūr kyuuñ