nahīñ ḳhayāl to phir intizār kis kā hai
ye zehn-o-dil ye bilā-vaj.h baar kis kā hai
batā.e kaun ye ahl-e-ḳhirad se mahfil meñ
chaman hai kis ke liye ḳhār-zār kis kā hai
hamārā naam to ġhairoñ meñ ho gayā shāmil
jo log apne haiñ un meñ shumār kis kā hai
kisī ko daulat-e-duniyā kisī ko izzat-e-nafs
ḳhudā kī den pe ab iḳhtiyār kis kā hai
urūs-e-maut se jaldī hai kis ko milne kī
qadam baḌhā huā ye sū-e-dār kis kā hai
farishte aa ke 'vasiyya' se bole marqad meñ
lahad meñ aap ko ab intizār kis kā hai