dil meñ mohabbatoñ ke sivā aur kuchh nahīñ
terī hikāyatoñ ke sivā aur kuchh nahīñ
ye ġham kī bhiiḌ aur ye duniyā ke rāste
un kī ināyatoñ ke sivā aur kuchh nahīñ
apnā nahīñ ḳhayāl magar dūsroñ kā hai
bilkul himāqatoñ ke sivā aur kuchh nahīñ
bhaa.ī ko bhaa.ī kis liye detā hai ranj-o-ġham
bejā adāvatoñ ke sivā aur kuchh nahīñ
ye rañg-o-nasl aur tashaddud ke silsile
dushman kī rāhatoñ ke sivā aur kuchh nahīñ