kyā baat thī ki us ko sañvarne nahīñ diyā
ā.īna haath meñ thā nikharne nahīñ diyā
tūfān meñ phañse to kināre tak aa ga.e
sāhil ne un ko phir bhī ubharne nahīñ diyā
is daur-e-pur-fitan meñ salīqe se TuuT kar
TuuTe to roz hī pe bikharne nahīñ diyā
ham ne amīr-e-shahr ko sajda nahīñ kiyā
ḳhuddārī-e-mizāj ne girne nahīñ diyā
radd-o-qadah ke ba.ad 'vasīya' ne aaj bhī
me.aar se ġhazal ko utarne nahīñ diyā