rau bhaTakne lage jab ḳhayālāt kī
manzileñ haiñ vahīñ par kamālāt kī
kis liye aa.e pūchhā hameñ kis liye
kyā ḳhabar ho ga.ī un ko hālāt kī
ham to chup rah ga.e kuchh kahā bhī nahīñ
muskurā kar agar us ne kuchh baat kī
hai ta.ajjub ki dāman bhigoyā nahīñ
āñsuoñ kī magar us ne barsāt kī
pyaar hī pyaar ho koī matlab na ho
qadr lekin kahāñ aise jazbāt kī
jin ko pā kar 'vasīya' na phir kho sake
hai talāsh aaj bhī aise lamhāt kī