Idris Babar

so duniya mein jina basna dil ko marne mat dena

Idris Babar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1973
so duniyā meñ jiinā basnā dil ko marne mat denā
yaar kirā.e-dār ko ghar par qabza karne mat denā
job zarūrī hotī hai sāhab majbūrī hotī hai
job ke ghanchakkar meñ paḌ kar ḳhvāb bikharne mat denā
aisī lahreñ aisī bahreñ kab qismat se miltī haiñ
achchhe māñjhī ab nayyā ko paar utarne mat denā
ek dafa kā zikr hai donoñ ik lahore meñ yakjā the
ek dafa kā zikr hai us ko kabhī mukarne mat denā
maal pe rash kaafī hogā bas ek do kash kaafī hogā
ab kisī car ko kisī savār ko sar se guzarne mat denā
murda na.are lagāne vaale zinda gosht jalā sakte haiñ
is be-ant hujūm ko ḳhud se ziyāda Darne mat denā
Top Urdushayar.com