ik musht-e-par huuñ mujh ko yaqīnan sukūñ nahīñ
lekin havā uḌā ke jo le jaa.e yuuñ nahīñ
aksar zamāne vāloñ ne sochā hai is tarah
maujūd huuñ magar ye ḳhabar ho ki huuñ nahīñ
ḳhuddārī-e-mizāj kuchh itnī aziiz hai
mil jaa.e sab jahān to maiñ us ko duuñ nahīñ
vaa.iz ne yuuñ banā liyā ḳhud nazm-e-zindagī
hote raheñ gunāh pa us ko ginūñ nahīñ
nazzāra chāhiye to bayābāñ meñ aa.iye
sab kuchh vahāñ pe sach hai zarā sā fusūñ nahīñ
duniyā ye chāhtī hai 'vasīya' har ek se
apnī to sab kahūñ pe kisī kī sunūñ nahīñ