yuuñ lagā dekh ke jaise koī apnā aayā
thī nigāhoñ meñ jo sūrat koī vaisā aayā
din guzāre to bahut kaaT diye māh-o-sāl
apne ghar meñ na koī aap ke jaisā aayā
aisā māhaul ki pal bhar na jahāñ ruk paa.e
kyā kabhī aap ko is tarah bhī jiinā aayā
jo kiyā ham ne vo sab tum ne bhulāyā kaise
itne ehsānoñ kā badla na chukānā aayā
zindagī kaaT dī ḳhud apnī hī tārīfoñ meñ
dūsrā kyā hai samajhnā bhī na itnā aayā
tursh-rūī se milā aap ko kyā kyā ab tak
aap ko ye bhī to ab tak na samajhnā aayā
hai ḳhudā ek to phir kis kī parastish karte
dūsrā naam 'vasīya' ko na japnā aayā