dil meñ is kā ḳhayāl kyuuñ aayā
mausam-e-barshgāl kyuuñ aayā
vo jo hañstā thā us ke chehre par
aaj rañg-e-malāl kyuuñ aayā
naam se mere jis ko nafrat thī
pūchhne merā haal kyuuñ aayā
naaz thā kis liye bahāroñ par
ye batā de zavāl kyuuñ aayā
jis ko shikva thā bad-ḳhisāloñ se
phir vahī ḳhush-ḳhisāl kyuuñ aayā
san rahe haiñ ki phir navāzish hai
mausam-e-qīl-o-qāl kyuuñ aayā
phir 'vasiyya' se dostī kā ḳhayāl
ye batā deñ ḳhayāl kyuuñ aayā