Aisha Ayyub

din guzra aur sham Dhali phir wahshat le kar aai raat

Aisha Ayyub

Mumbai, Maharashtra, India

1983
din guzrā aur shaam Dhalī phir vahshat le kar aa.ī raat
jab bhī us kā hijr manāyā ham ne vo kahlā.ī raat
us ko rone se pahle kuchh ham ne yuuñ tayyārī kī
kone meñ tanhā.ī rakkhī kamre meñ phailā.ī raat
tū ne kaise soch liyā ki tere tohfe bhuul ga.e
dil ne tere ġham ko pahnā āñkhoñ ko pahnā.ī raat
sāvan aayā lekin sūkhī ehsāshoñ kī hariyālī
banjar dil meñ aañsū bo.e uupar se barsā.ī raat
koī bhī mausam aayā ho ham par to barsāt huī
us kī yādoñ ne jo gherā dopahroñ par chhā.ī raat
us pal jaise bol paḌā ho dīvāroñ kā sannāTā
us kī rāheñ takte takte jaise ho uktā.ī raat
kitne hī manzar shāmil haiñ merī suunī āñkhoñ meñ
chup ke se aa ke kartī hai palkoñ kī turpāī raat
chāhat kī ye reshmī girheñ aur palkoñ par niiñd kā bojh
yādoñ se jo bach nikle to ḳhvāboñ ne uljhā.ī raat
Top Urdushayar.com