Aisha Ayyub

ye ban-sanwar ke meri sadgi mein lauT aae

Aisha Ayyub

Mumbai, Maharashtra, India

1983
ye ban-sañvar ke mirī sādgī meñ lauT aa.e
mire ḳhayāl mirī shā.irī meñ lauT aa.e
use kaho ki mirī zaat ab bhī baaqī hai
diyā bujhā de mirī raushnī meñ lauT aa.e
vo jis tarah se parinde shajar pe lauTte haiñ
ham apne aap se nikle tujhī meñ lauT aa.e
jo maiñ hañsūñ to mirā ashk ban ke vo chhalke
kisī tarah se vo merī hañsī meñ lauT aa.e
ḳhushī milī bhī to ham ko kabhī na raas i
udāsiyoñ ke sabab is ḳhushī meñ lauT aa.e
phisaltī ret sā hāthoñ se gir gayā thā jo
vo guzrā vaqt kabhī phir ghaḌī meñ lauT aa.e
hameñ to ek hī chehre kā kaam hotā hai
haTā ke bhiiḌ ko ham phir usī meñ lauT aa.e
baḌe ġhurūr se nikle the alvidā.a kah kar
bas ek baar pukārā galī meñ lauT aa.e
Top Urdushayar.com