Aisha Ayyub

mere hathon mein ubhra hai ye naqsha kis tarah ka hai

Aisha Ayyub

Mumbai, Maharashtra, India

1983
mire hāthoñ meñ ubhrā hai ye naqsha kis tarah kā hai
mirī āñkhoñ meñ Thahrā hai ye dariyā kis tarah kā hai
ye merā jism hai āzād lekin ruuh qaidī hai
ḳhudāyā koī batlā.e ye piñjrā kis tarah kā hai
mirī aahoñ ko mere qahqahoñ ne Dhāñk rakkhā hai
mirī is laash ke uupar ye malba kis tarah kā hai
hai jin meñ bojh duniyā bhar kā maz.hab ke havāloñ se
mire bachchoñ ke kāñdhe par ye basta kis tarah kā hai
tumheñ mālūm bhī hai ki vo niyyat ko parakhtā hai
ye kis lālach meñ karte ho ye sajda kis tarah kā hai
maiñ ḳhud ko DhūñDne niklī thī kuchh bikhre varaq le kar
tire andar huuñ jā pahuñchī ye naqsha kis tarah kā hai
hameñ āvāz denā hai nabī ko jānib-e-mahshar
ḳhudā āvāz de jis ko vo banda kis tarah kā hai
Top Urdushayar.com