ham is jahān meñ aa.e to saath laa.e din
kisī ke maut ke jiine ke sab manā.e din
ḳhushī kā din to baḌī minnatoñ se bantā hai
udāsiyoñ ke magar haiñ bane-banā.e din
hue haiñ aañkh se ojhal kabhī jo apne the
hamārī god meñ palte haiñ kuchh parā.e din
ye shor-o-ġhul ye Thahāke tā qahqahoñ kā hujūm
baḌe jatan kiye phir ham ne chup karā.e din
jab us kā raat kā nashsha utarne vaalā thā
ġhamoñ ko ghol ke ham ne use pilā.e din
na is meñ chāñd na hī jagmagāte taare haiñ
koī sitāra-sifat aa ke ab sajā.e din
maiñ us ke saath añdheroñ kī sair par niklī
vo mere saath rahā aur mujhe dikhā.e din