yuuñ bhī raas aa.ī nahīñ us kī vafā tum rakh lo
mujh ko bīmār hī rahne do davā tum rakh lo
band kamroñ kī ghuTan mere liye rahne do
ye jo aatī hai darīchoñ se havā tum rakh lo
merī rāhoñ meñ bichhā do tum añdhere saare
aur ye lo mire hisse kā diyā tum rakh lo
oḌh kar baiTh ga.ī huuñ maiñ dukhoñ kī chādar
ye ḳhushī aur ye ḳhushbu-e-qabā tum rakh lo
mujh ko ye nūr-e-qamar tīrgī se hāsil hai
mere andar se jo niklī hai ziyā tum rakh lo
paas baiThe koī dil khol ke do baat kare
baaqī duniyā ke ye atvār-o-adā tum rakh lo
merī maañ to mirī jannat ko liye baiThī hai
aisā kar lo mire purkhoñ kī duā tum rakh lo
maiñ gunahgār hī achchhī huuñ barā-e-mahfil
ye jo tum bechte phirte ho ḳhudā tum rakh lo