Aisha Ayyub

kisi ke hijr ko aise mana rahe the hum

Aisha Ayyub

Mumbai, Maharashtra, India

1983
kisī ke hijr ko aise manā rahe the ham
ghaḌī meñ vaqt ko ulTā ghumā rahe the ham
nahīñ thā yaad sabaq apnī zindagī kā hameñ
so imtihān kā parcha banā rahe the ham
kināre baiTh ke aañsū bahā ke aa.e the
nadī kī pyaas ko paanī pilā rahe the ham
kiyā ye jurm ki apne hī dil kī sunte the
yahī kaheñ ki ḳhud apnī sazā rahe the ham
ham us ke zulm ke baḌhne ke intizār meñ the
tabhī to zabt kī quvvat baḌhā rahe the ham
lagā ke ek Thahākā usī ke zer-e-asar
bas apne zaḳhm ko nīchā dikhā rahe the ham
ḳhud apne aap ko shānoñ pe le ke chalte the
ḳhud apne aap kā mātam manā rahe the ham
Top Urdushayar.com