kuchh baat rah ga.ī thī batāne ke bāvajūd
huuñ hālat-e-safar meñ ghar aane ke bāvajūd
dil se utar chukā thā jo aa kar gale milā
duurī vahī thī dil se lagāne ke bāvajūd
hāthoñ meñ ab bhī us kī hai ḳhushbū basī huī
jo rah ga.ī thī haath chhuḌāne ke bāvajūd
purze vo ḳhat ke aaj bhī rakkhe haiñ mere paas
jo bach ga.e the ḳhat ko jalāne ke bāvajūd
naam us kā mere dil pe chhapā is tarah se hai
yuuñ naqsh hai abhī bhī miTāne ke bāvajūd
mujh ko bhī ye kamāl-e-hunar hai milā huā
maiñ jī rahī huuñ us ko bhulāne ke bāvajūd
koī bhī ham-shanās nahīñ ham-navā nahīñ
rishtoñ meñ ik ḳhalā hai nibhāne ke bāvajūd
terī sadā.eñ aa.iiñ jo maazī kī samt se
ham ruk ga.e haiñ paañv baḌhāne ke bāvajūd
jo zid meñ baḌh ga.e the zamīnoñ ko rauñd kar
ḳhush kyoñ nahīñ haiñ āsmāñ paane ke bāvajūd
ye kaisā intizār ki hotā nahīñ hai ḳhatm
tū aa gayā magar tire aane ke bāvajūd