jafā-pasandoñ ko sunte haiñ nā-pasand huā
ab aur bhī dil-e-māyūs dard-mañd huā
mah-e-do-hafta banāyā hamīñ ne aariz ko
hamārī vaj.h se husn aap kā do-chand huā
judā judā hai mazāq apnā apnā duniyā meñ
hameñ jo dard to dil dard ko pasand huā
vo pher pher ga.e toḌ toḌ kar aksar
ye dil vo hai jo ka.ī baar dard-mañd huā
koī hazār kahe apnī hī ye kartā hai
hamārā dil na huā koī ḳhud-pasand huā
habāb kā ye ishāra hai ahl-e-ġhaflat se
huā vo past jo duniyā meñ sar-buland huā
huā hai ishq meñ kam husn-e-ittifāq aisā
ki dil ko yaar to dil yaar ko pasand huā
hilā diyā sar-e-bām aaj jā ke dil un kā
asar ko nāla-e-qalb-e-hazīñ kamand huā
dikhāyā dil ko ye din kibr-o-be-niyāzī ne
ki naaz uThā ke kisī ke niyāz-mand huā
ye kaun dilbar-e-nāzuk-mizāj se pūchhe
pasand bhī dil-e-zebā-e-dard-mañd huā