Zeba

kyun ho na gir ke kasa-e-tadbir pash pash

Zeba

kyuuñ ho na gir ke kāsa-e-tadbīr paash paash
hai sañg-e-ġham se shīsha-e-taqdīr paash paash
hai ḳhūn-e-be-gunah se jigar resh-e-teġh bhī
jauhar nahīñ ye hai tan-e-shamshīr paash paash
tīr-e-nigah ne dil mirā ġhirbāl kar diyā
zaḳhmoñ se ho gayā tan-e-naḳhchīr paash paash
teġh-e-zabān-e-yār se majrūh hai jigar
hotā hai dil mirā dam-e-taqrīr paash paash
ai teġh-e-kalik likh vo mazāmīn-e-ta.aniya
dil hāsidoñ ke hoñ dam-e-tahrīr paash paash
'zebā' ġhazal to tum ne kahī is zamīñ meñ ḳhuub
sābit har ik jagah hai ba-tadbīr paash paash
Top Urdushayar.com