kyā milā qais ko gard-e-rah-e-sahrā ho kar
rah gayā hotā ġhubār-e-dar-e-lailā ho kar
yaad aate haiñ chaman meñ jo kisī ke aariz
gul khaTakte haiñ mirī āñkhoñ meñ kāñTā ho kar
pahle kyā thā jo kiyā karte the tārīf mirī
ab huā kyā jo burā ho gayā achchhā ho kar
dil meñ rakh gard-e-kudūrat na bahut ai kam-bīñ
kahīñ rah jaa.e na ye aa.ina andhā ho kar
hijr meñ yād-e-mizha aur bhī taḌpātī hai
qalb-e-bismil meñ khaTaktī hai ye kāñTā ho kar
nāla-e-garm ne tāsīr ajab dikhlā.ī
rah gayā misl-e-charāġh aap meñ ThanDā ho kar
yaar ke ruḳh kī sabāhat kā tasavvur shab-e-hijr
aayā taskīñ ko mirī nuur kā taḌkā ho kar
dil se kahtā hai ġham-e-ulfat-e-jānāñ dam-e-marg
tum to duniyā se chale maiñ rahūñ kis kā ho kar
chhoḌnā ai ġham-e-ulfat na kabhī saath us kā
kahīñ ghabrā.e mirā dil na akelā ho kar
aa.e to vasl kā din ho to kahīñ bos-o-kanār
sab nikal jā.egī sharm un kī pasīnā ho kar
jism-e-anvar kī latāfat kī sanā kyā kiije
jāma-e-yār na utrā kabhī mailā ho kar
dahr kī dekhte haiñ past-o-buland ai 'zebā'
karbalā jā.eñge is vāste bat.hā ho kar