Zeba

firaq mein KHun-e-dil hain pite sharab hum le ke kya karenge

Zeba

firāq meñ ḳhūn-e-dil haiñ piite sharāb ham le ke kyā kareñge
hamārā dil aap bhun rahā hai kabāb ham le ke kyā kareñge
jo un se kahtā huuñ yaar hāzir hai ye hamārā dil-e-shikasta
to hañs ke kahte haiñ naaz se vo janāb ham le ke kyā kareñge
nahīñ hai fursat yahīñ ke jhagḌoñ se fikr-e-uqbā kahāñ kī vaa.iz
azāb-e-duniyā hai ham ko kyā kam savāb ham le ke kyā kareñge
savāl be-sūd jānte haiñ raheñ na ḳhāmosh to kareñ kyā
evaz meñ bose ke tum se sāhab javāb ham le ke kyā kareñge
ye qaul hai rahmat-e-ḳhudā kā Daro na tum ai gunāh-gāro
shumār-e-isyāñ agar nahīñ hai hisāb ham le ke kyā kareñge
Top Urdushayar.com