Zeba

na hoga hashr mahshar mein bapa kya

Zeba

na hogā hashr mahshar meñ bapā kyā
na hogā merā un kā faisla kyā
daġhā degā mujhe vo pur-jafā kyā
na aaḌe aa.egī merī vafā kyā
chaman meñ kis liye gul hañs rahe haiñ
shagūfa tū ne chhoḌā ai sabā kyā
chalo bigḌo na mah kahne par itnā
bashar se ho nahīñ jaatī ḳhatā kyā
unheñ tark-e-ta.alluq hai jo manzūr
mujhe ilzām dete haiñ vo kyā kyā
vo kab kā bah gayā sab ḳhuun ho kar
lagā.egā koī dil kā patā kyā
kiyā hai vāda-e-fardā kisī ne
na hogī ab qayāmat bhī bapā kyā
ḳhudā kī bhī nahīñ sunte haiñ ye but
bhalā maiñ kyā huuñ merī iltijā kyā
jafāoñ ke liye kī thiiñ vafā.eñ
natīja dostī kā hai daġhā kyā
unhīñ kī sī ye dil bhī kah rahā hai
misāl-e-chashm-e-jānāñ phir gayā kyā
ajab andāz se niklā mirā dam
adā-e-yār thī merī qazā kyā
manāne se nahīñ mantā jo koī
hamārā dam ḳhafā hotā hai kyā kyā
diye dukh bhī to jī bhar ke na ham ko
falak tū kyā hai terā hausla kyā
daġhā dī ham ko dil le kar hamārā
yahī jurm-e-vafā kī thī sazā kyā
mujhe kyuuñ aaj hichkī aa rahī hai
koī yaad aa.ī aur un ko jafā kyā
kareñ shikva na sāhab dahr kā bhī
zamāne meñ tumhīñ ho bevafā kyā
shab-e-furqat daġhā dī zabt ne bhī
dilā sach hai kisī kā aasrā kyā
vo be-ḳhud pā ke 'zebā' ko ye bole
dil aayā aap kā merā gayā kyā
Top Urdushayar.com